shaKH par phul falak par koi tara bhi nahin
shāḳh par phuul falak par koī taarā bhī nahīñ
maiñ bhī tanhā huuñ bahut koī tumhārā bhī nahīñ
ek to muḌ ke na jaane kī aziyyat thī bahut
aur us par ye sitam koī pukārā bhī nahīñ
kah rahā thā ki mohabbat meñ takallum kaisā
maiñ jo chauñkā to kahāñ izn-e-ishārā bhī nahīñ
umr-e-mā-ba.ad agar tere alāva kuchh hai
phir to maiñ ab bhī nahīñ aur dobārā bhī nahīñ
shaKH par phul falak par koi tara bhi nahin
main bhi tanha hun bahut koi tumhaara bhi nahin
ek to muD ke na jaane ki aziyyat thi bahut
aur us par ye sitam koi pukara bhi nahin
kah raha tha ki mohabbat mein takallum kaisa
main jo chaunka to kahan izn-e-ishaara bhi nahin
umr-e-ma-baad agar tere alawa kuchh hai
phir to main ab bhi nahin aur dobara bhi nahin
- Book : Ishq Abaab (Pg. 365)
- Author : Abbas Tabish
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.