shaKH shaKH par mausam-e-gul ne gajre se laTkae the
shāḳh shāḳh par mausam-e-gul ne gajre se laTkā.e the
maiñ ne jis-dam haath baḌhāyā saare phuul parā.e the
kitne dard chamak uThte haiñ furqat ke sannāTe meñ
raat rāt-bhar jaag ke ham ne ḳhud pe zaḳhm lagā.e the
tere ġhamoñ kā zikr hī kyā ab jaane de ye baat na chheḌ
ham dīvāne mulk-e-junūñ meñ baḳht-e-sikandar laa.e the
dil kī vīrāñ bastī mujh se aksar pūchhā kartī hai
baste haiñ kis des meñ ab vo log yahāñ jo aa.e the
pichhlī raat ko taare ab bhī jhilmil karte haiñ
kis ko ḳhabar hai ik shab ham ne kitne ashk bahā.e the
aaj jahāñ kī tārīkī se duniyā bach kar chaltī hai
ham ne us vīrān mahal meñ lākhoñ diip jalā.e the
mujh ko un se pyaar nahīñ hai mujh ko un ke naam se kyā
āñkheñ yuuñ hī bhar aa.ī thiiñ hoñT yūñhī tharrā.e the
shaKH shaKH par mausam-e-gul ne gajre se laTkae the
main ne jis-dam hath baDhaya sare phul parae the
kitne dard chamak uThte hain furqat ke sannaTe mein
raat raat-bhar jag ke hum ne KHud pe zaKHm lagae the
tere ghamon ka zikr hi kya ab jaane de ye baat na chheD
hum diwane mulk-e-junun mein baKHt-e-sikandar lae the
dil ki viran basti mujh se aksar puchha karti hai
baste hain kis des mein ab wo log yahan jo aae the
pichhli raat ko tare ab bhi jhilmil karte hain
kis ko KHabar hai ek shab hum ne kitne ashk bahae the
aaj jahan ki tariki se duniya bach kar chalti hai
hum ne us viran mahal mein lakhon dip jalae the
mujh ko un se pyar nahin hai mujh ko un ke nam se kya
aankhen yun hi bhar aai thin honT yunhi tharrae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.