shaal chhoTi hi sahi rakh lo baDi Thik nahin
shaal chhoTī hī sahī rakh lo baḌī Thiik nahīñ
tum pe nikhregī bahut ghar meñ paḌī Thiik nahīñ
maiñ ne pūchhā hai ki chaa.e ke liye vaqt koī
hañs ke bolī hai ishāre se ghaḌī Thiik nahīñ
ik tamāshā hai vo merī hai nahīñ merī hai
ye jo khiḌkī meñ hai doshīza khaḌī Thiik nahīñ
is mohalle meñ agar saañp Dase behtar hai
log kahte haiñ yahāñ aañkh laḌī Thiik nahīñ
jab bhī maktab meñ mujhe maar paḌe vo bole
ab to resham ho ye shīsham kī chhaḌī Thiik nahīñ
aisī bārish ho to 'rāhib' mujhe Dar lagtā hai
vo bhī bārish meñ ye kahtī thī jhaḌī Thiik nahīñ
shaal chhoTi hi sahi rakh lo baDi Thik nahin
tum pe nikhregi bahut ghar mein paDi Thik nahin
main ne puchha hai ki chae ke liye waqt koi
hans ke boli hai ishaare se ghaDi Thik nahin
ek tamasha hai wo meri hai nahin meri hai
ye jo khiDki mein hai doshiza khaDi Thik nahin
is mohalle mein agar sanp Dase behtar hai
log kahte hain yahan aankh laDi Thik nahin
jab bhi maktab mein mujhe mar paDe wo bole
ab to resham ho ye shisham ki chhaDi Thik nahin
aisi barish ho to 'rahib' mujhe Dar lagta hai
wo bhi barish mein ye kahti thi jhaDi Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.