sham aai hai liye hath mein yaadon ke charagh
shaam aa.ī hai liye haath meñ yādoñ ke charāġh
vo tire saath guzāre hue lamhoñ ke charāġh
mere is ghar meñ añdherā kabhī hotā hī nahīñ
haiñ mire siine meñ jalte hue zaḳhmoñ ke charāġh
laakh tūfān hoñ kuTiyā mirī raushan hī rahī
ek barsāt se bujhne lage mahloñ ke charāġh
zindagī talḳh haqīqat kī hai andhī sī galī
apnī āñkhoñ meñ jalāte raho sapnoñ ke charāġh
ek muddat se dhadhaktā rahā merā ye zehn
tab kahīñ jā ke farozāñ hue lafzoñ ke charāġh
ḳhud kā hī nuur kiyā kartā hai raushan dil ko
raushnī tujh ko bhalā kaise deñ ġhairoñ ke charāġh
saarī duniyā ko ḳhudā ek hī sūraj de de
kaash bujh jaa.eñ zamāne se ye firqoñ ke charāġh
ab to jamhūr kī tāqat kā hī sūraj hai 'sahāb'
ab zamāne meñ kahāñ jalte haiñ shāhoñ ke charāġh
sham aai hai liye hath mein yaadon ke charagh
wo tere sath guzare hue lamhon ke charagh
mere is ghar mein andhera kabhi hota hi nahin
hain mere sine mein jalte hue zaKHmon ke charagh
lakh tufan hon kuTiya meri raushan hi rahi
ek barsat se bujhne lage mahlon ke charagh
zindagi talKH haqiqat ki hai andhi si gali
apni aankhon mein jalate raho sapnon ke charagh
ek muddat se dhadhakta raha mera ye zehn
tab kahin ja ke farozan hue lafzon ke charagh
KHud ka hi nur kiya karta hai raushan dil ko
raushni tujh ko bhala kaise den ghairon ke charagh
sari duniya ko KHuda ek hi suraj de de
kash bujh jaen zamane se ye firqon ke charagh
ab to jamhur ki taqat ka hi suraj hai 'sahab'
ab zamane mein kahan jalte hain shahon ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.