sham aai to koi KHush-badani yaad aai
shaam aa.ī to koī ḳhush-badanī yaad aa.ī
mujhe ik shaḳhs kī va.ada-shiknī yaad aa.ī
mujhe yaad aayā ki ik daur thā sargoshī kā
aaj usī daur kī ik kam-suḳhanī yaad aa.ī
masnad-e-naġhma se ik rañg-e-tabassum ubhrā
khilkhilātī huī ġhuncha-dahnī yaad aa.ī
lab jo yaad aa.e to bosoñ kī ḳhalish jaag uThī
phuul mahke to mujhe be-chamanī yaad aa.ī
phir tasavvur meñ chalī aa.ī mahaktī huī shab
aur simTī huī be pairahanī yaad aa.ī
haañ kabhī dil se guzartā thā julūs-e-ḳhvāhish
aaj usī tarah kī ik nāra-zanī yaad aa.ī
qisa-e-rafta ko dohrā to liyā 'azm' magar
kis masāfat pe tumheñ be-vatanī yaad aa.ī
sham aai to koi KHush-badani yaad aai
mujhe ek shaKHs ki wada-shikni yaad aai
mujhe yaad aaya ki ek daur tha sargoshi ka
aaj usi daur ki ek kam-suKHani yaad aai
masnad-e-naghma se ek rang-e-tabassum ubhra
khilkhilati hui ghuncha-dahni yaad aai
lab jo yaad aae to boson ki KHalish jag uThi
phul mahke to mujhe be-chamani yaad aai
phir tasawwur mein chali aai mahakti hui shab
aur simTi hui be pairahani yaad aai
han kabhi dil se guzarta tha julus-e-KHwahish
aaj usi tarah ki ek nara-zani yaad aai
qisa-e-rafta ko dohra to liya 'azm' magar
kis masafat pe tumhein be-watani yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.