sham chhat par utar gai hogi
shaam chhat par utar ga.ī hogī
dard siine meñ bhar ga.ī hogī
ḳhvāb āñkhoñ meñ ab na.e hoñge
zindagī bhī sañvar ga.ī hogī
maiñ to kab se udaas baiThā huuñ
zindagī kis ke ghar ga.ī hogī
ek ḳhushbū thī saath meñ apne
kaun DhūñDe kidhar ga.ī hogī
us kā chehra udaas hai 'mājid'
aa.ine par nazar ga.ī hogī
sham chhat par utar gai hogi
dard sine mein bhar gai hogi
KHwab aankhon mein ab nae honge
zindagi bhi sanwar gai hogi
main to kab se udas baiTha hun
zindagi kis ke ghar gai hogi
ek KHushbu thi sath mein apne
kaun DhunDe kidhar gai hogi
us ka chehra udas hai 'majid'
aaine par nazar gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.