sham dil ko bujhae jati hai
shaam dil ko bujhā.e jaatī hai
terī bāteñ sunā.e jaatī hai
ye udāsī bhī ḳhūbsūrat hai
mujh ko rañgīñ banā.e jaatī hai
raat kī aañkh se use dekho
kaise manzar dikhā.e jaatī hai
ek lamhe kī raushnī mujh meñ
ek duniyā basā.e jaatī hai
kitnī gambhīr hai ye tārīkī
mere andar samā.e jaatī hai
hijr kī shab hamārī jānib kyuuñ
dekh kar muskurā.e jaatī hai
zindagī bevafā sahī lekin
saath phir bhī nibhā.e jaatī hai
aap ta.abīr jānte hoñge
chāñdnī baukhlā.e jaatī hai
koī ḳhushbū gurezāñ hai mujh se
koī aahaT bulā.e jaatī hai
zindagī lāDlī sī shahzādī
merā āñchal uḌaa.e jaatī hai
sham dil ko bujhae jati hai
teri baaten sunae jati hai
ye udasi bhi KHubsurat hai
mujh ko rangin banae jati hai
raat ki aankh se use dekho
kaise manzar dikhae jati hai
ek lamhe ki raushni mujh mein
ek duniya basae jati hai
kitni gambhir hai ye tariki
mere andar samae jati hai
hijr ki shab hamari jaanib kyun
dekh kar muskurae jati hai
zindagi bewafa sahi lekin
sath phir bhi nibhae jati hai
aap tabir jaante honge
chandni baukhlae jati hai
koi KHushbu gurezan hai mujh se
koi aahaT bulae jati hai
zindagi laDli si shahzadi
mera aanchal uDae jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.