sham-e-gham aaj zara aise mana li jae
shām-e-ġham aaj zarā aise manā lī jaa.e
be-sabab ek ġhazal aur sunā lī jaa.e
hākim-e-vaqt ko dekhūñ to duā kartā huuñ
itnī izzat de ḳhudā jitnī sañbhālī jaa.e
mere maulā vo ḳhasāre ke sivā kuchh bhī nahīñ
har vo lamha jo tirī yaad se ḳhālī jaa.e
gar mire haath meñ aa jaa.e alādīñ kā charāġh
ghar kā mazdūr koī haath na ḳhālī jaa.e
had se bhī baḌh ke zarūrī hai duā.eñ karnā
aur is se bhī zarūrī hai duā lī jaa.e
pūchhtā kyā hai kamā.ī kā tire shahr meñ dost
ye bhī daulat hai ki izzat hī bachā lī jaa.e
aao sajde meñ kareñ baat 'mubārak' us se
jis ke dar se na koī ḳhālī savālī jaa.e
sham-e-gham aaj zara aise mana li jae
be-sabab ek ghazal aur suna li jae
hakim-e-waqt ko dekhun to dua karta hun
itni izzat de KHuda jitni sanbhaali jae
mere maula wo KHasare ke siwa kuchh bhi nahin
har wo lamha jo teri yaad se KHali jae
gar mere hath mein aa jae aladin ka charagh
ghar ka mazdur koi hath na KHali jae
had se bhi baDh ke zaruri hai duaen karna
aur is se bhi zaruri hai dua li jae
puchhta kya hai kamai ka tere shahr mein dost
ye bhi daulat hai ki izzat hi bacha li jae
aao sajde mein karen baat 'mubarak' us se
jis ke dar se na koi KHali sawali jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.