sham ghar jaegi main kidhar jaunga
shaam ghar jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
aas mar jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
vo parī ek din chhoḌ kar jo mujhe
chāñd par jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
tū jidhar jā.egī jā.ūñgā maiñ udhar
tū kidhar jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
zindagī terī tarah guzartā huuñ maiñ
tū guzar jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
terā ghar hai idhar merā ghar hai khañDar
to idhar jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
tere va.ade pe sab chhoḌ aayā huuñ maiñ
tū mukar jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
ek din ye tabī.at mirī jān-e-jāñ
tujh se bhar jā.egī maiñ kidhar jā.ūñgā
sham ghar jaegi main kidhar jaunga
aas mar jaegi main kidhar jaunga
wo pari ek din chhoD kar jo mujhe
chand par jaegi main kidhar jaunga
tu jidhar jaegi jaunga main udhar
tu kidhar jaegi main kidhar jaunga
zindagi teri tarah guzarta hun main
tu guzar jaegi main kidhar jaunga
tera ghar hai idhar mera ghar hai khanDar
to idhar jaegi main kidhar jaunga
tere wade pe sab chhoD aaya hun main
tu mukar jaegi main kidhar jaunga
ek din ye tabiat meri jaan-e-jaan
tujh se bhar jaegi main kidhar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.