sham hote hi Thikane pe bhi aa sakta hai
shaam hote hī Thikāne pe bhī aa saktā hai
dil parinda hai nishāne pe bhī aa saktā hai
jis ko din raat manāne meñ lagī hai duniyā
vo mere ek bulāne pe bhī aa saktā hai
dukh to ye hai ke maiñ jis dukh meñ giraftār huā
vo hī dukh kal ko zamāne pe bhī aa saktā hai
ab agar aur yuuñ hī chaltā rahā ye rishta
jiine marne ke dahāne pe bhī aa saktā hai
sham hote hi Thikane pe bhi aa sakta hai
dil parinda hai nishane pe bhi aa sakta hai
jis ko din raat manane mein lagi hai duniya
wo mere ek bulane pe bhi aa sakta hai
dukh to ye hai ke main jis dukh mein giraftar hua
wo hi dukh kal ko zamane pe bhi aa sakta hai
ab agar aur yun hi chalta raha ye rishta
jine marne ke dahane pe bhi aa sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.