sham ka intizar karta hun
shaam kā intizār kartā huuñ
maiñ añdhere se pyaar kartā huuñ
merī manhūs baat mat Taalo
ġhāfilo hoshiyār kartā huuñ
ro ke dam le ke phir se ro denā
bas yahī baar baar kartā huuñ
raat bhar hañs ke raat tak ro.uuñ
jo karūñ be-shumār kartā huuñ
tere dil ko qarār hai kab se
aa idhar be-qarār kartā huuñ
bevafā.ī ko rakkho ek taraf
ishq maiñ shāndār kartā huuñ
ye jo 'maġhlūb' terā ghar hai nā
aaj is ko mazār kartā huuñ
sham ka intizar karta hun
main andhere se pyar karta hun
meri manhus baat mat Talo
ghafilo hoshiyar karta hun
ro ke dam le ke phir se ro dena
bas yahi bar bar karta hun
raat bhar hans ke raat tak roun
jo karun be-shumar karta hun
tere dil ko qarar hai kab se
aa idhar be-qarar karta hun
bewafai ko rakkho ek taraf
ishq main shandar karta hun
ye jo 'maghlub' tera ghar hai na
aaj is ko mazar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.