sham ke waqt Thikane pe nahin aata tha
shaam ke vaqt Thikāne pe nahīñ aatā thā
vo parinda jo nishāne pe nahīñ aatā thā
ummatī gher ke laate the usī ghar kī taraf
dukh mohammad ke gharāne pe nahīñ aatā thā
merī ḳhāmoshī use khīñch ke le aa.ī hai
vo jo āvāz lagāne pe nahīñ aatā thā
jo hameñ ab pas-e-dīvār nazar aatā hai
kabhī dīvār girāne pe nahīñ aatā thā
is se pahle bhī bahut jhagḌā huā kartā thā
chhoḌ jaane ke dahāne pe nahīñ aatā thā
sham ke waqt Thikane pe nahin aata tha
wo parinda jo nishane pe nahin aata tha
ummati gher ke late the usi ghar ki taraf
dukh mohammad ke gharane pe nahin aata tha
meri KHamoshi use khinch ke le aai hai
wo jo aawaz lagane pe nahin aata tha
jo hamein ab pas-e-diwar nazar aata hai
kabhi diwar girane pe nahin aata tha
is se pahle bhi bahut jhagDa hua karta tha
chhoD jaane ke dahane pe nahin aata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.