sham se gahra chand se ujla ek KHayal
shaam se gahrā chāñd se ujlā ek ḳhayāl
raat huī aur phir aa pahuñchā ek ḳhayāl
din Duube to dil meñ Dūbtā jaatā hai
sūraj kī mānind sunahrā ek ḳhayāl
mere hisse meñ vo shaḳhs bas itnā hai
tārīkī meñ jaltā bujhtā ek ḳhayāl
jhīleñ aur parinde is meñ rahte haiñ
merī duniyā ek darīcha ek ḳhayāl
āḳhir āḳhir ret meñ gum ho jā.egā
sahrāoñ meñ bahtā bahtā ek ḳhayāl
lagtā hai ki saarī umr ke sāthī haiñ
jañgal suunā suunā rastā ek ḳhayāl
sham se gahra chand se ujla ek KHayal
raat hui aur phir aa pahuncha ek KHayal
din Dube to dil mein Dubta jata hai
suraj ki manind sunahra ek KHayal
mere hisse mein wo shaKHs bas itna hai
tariki mein jalta bujhta ek KHayal
jhilen aur parinde is mein rahte hain
meri duniya ek daricha ek KHayal
aaKHir aaKHir ret mein gum ho jaega
sahraon mein bahta bahta ek KHayal
lagta hai ki sari umr ke sathi hain
jangal suna suna rasta ek KHayal
- Book : Pakistani Adab (Pg. 518)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.