sham se zoron pe tufan hai bahut
shaam se zoroñ pe tūfāñ hai bahut
us ke lauT aane kā imkāñ hai bahut
aa.egī nūr-e-mujassam ban kar
sūrat-e-sāya gurezāñ hai bahut
kuchh bhī hoñ mauj o havā ke tevar
jism parvarda-e-tūfāñ hai bahut
shāyad aa pahuñche haiñ vo asp-savār
shahr kā shahr hirāsāñ hai bahut
jism o jaañ varta-e-zulmat hī sahī
paikar-e-harf daraḳhshāñ hai bahut
zer-e-farmāñ rahe iqlīm-e-suḳhan
rahne ko gosha-e-vīrāñ hai bahut
sham se zoron pe tufan hai bahut
us ke lauT aane ka imkan hai bahut
aaegi nur-e-mujassam ban kar
surat-e-saya gurezan hai bahut
kuchh bhi hon mauj o hawa ke tewar
jism parwarda-e-tufan hai bahut
shayad aa pahunche hain wo asp-sawar
shahr ka shahr hirasan hai bahut
jism o jaan warta-e-zulmat hi sahi
paikar-e-harf daraKHshan hai bahut
zer-e-farman rahe iqlim-e-suKHan
rahne ko gosha-e-viran hai bahut
- Book : Sar Sabz (Pg. 25)
- Author : Krishn Kumar Toor
- Publication : Aariz Offset Press 123 Shahzad Bagh Ind. Phase-II Delhi-35 (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.