albeli kaamni ki nashili ghaDi hai sham
albelī kāmnī ki nashīlī ghaḌī hai shaam
sar mastiyoñ kī sej pe nañgī paḌī hai shaam
bekal kiye hai rain ke rasiyā kā intizār
ġhamgīñ hai husn-e-shoḳh ki hairāñ khaḌī hai shaam
chamkā diyā hai is ke sharāroñ ne fikr ko
ehsās-e-ishq-o-husn kī ik phuljaḌī hai shaam
tābāñ hai terā chehra ki hai jalva-e-sahar
raḳhshāñ hai terī maañg ki tāroñ jaḌī hai shaam
rūThe hue diloñ ko bhī is ne manā liyā
man-mohnī hai kāmnī chanchal baḌī hai shaam
jaane kab aa.e aaj sā hañgām-e-dil-navāz
yaaro uThāo jaam ghaḌī do ghaḌī hai shaam
albeli kaamni ki nashili ghaDi hai sham
sar mastiyon ki sej pe nangi paDi hai sham
bekal kiye hai rain ke rasiya ka intizar
ghamgin hai husn-e-shoKH ki hairan khaDi hai sham
chamka diya hai is ke shararon ne fikr ko
ehsas-e-ishq-o-husn ki ek phuljaDi hai sham
taban hai tera chehra ki hai jalwa-e-sahar
raKHshan hai teri mang ki taron jaDi hai sham
ruThe hue dilon ko bhi is ne mana liya
man-mohni hai kaamni chanchal baDi hai sham
jaane kab aae aaj sa hangam-e-dil-nawaz
yaro uThao jam ghaDi do ghaDi hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.