sham yun dil ke kinare se guzar jati hai
shaam yuuñ dil ke kināre se guzar jaatī hai
jaise lakḌī koī aare se guzar jaatī hai
maiñ use yaad kī baisākhiyāñ lā detī huuñ
shab apāhij hai sahāre se guzar jaatī hai
'ishq meñ donoñ jahāñ apne hī kahlāte haiñ
baat phir mere tumhāre se guzar jaatī hai
zindagī jitnī bhī dushvār huuñ rāheñ lekin
aap ke ek ishāre se guzar jaatī hai
maiñ ne logoñ se sunā hai ki vo pāgal laḌkī
hañstī rahtī hai ḳhasāre se guzar jaatī hai
maiñ tujhe dekh ke an-dekhā bhī kar saktī huuñ
aañkh muḌtī hai nazāre se guzar jaatī hai
sham yun dil ke kinare se guzar jati hai
jaise lakDi koi aare se guzar jati hai
main use yaad ki baisakhiyan la deti hun
shab apahij hai sahaare se guzar jati hai
'ishq mein donon jahan apne hi kahlate hain
baat phir mere tumhaare se guzar jati hai
zindagi jitni bhi dushwar hun rahen lekin
aap ke ek ishaare se guzar jati hai
main ne logon se suna hai ki wo pagal laDki
hansti rahti hai KHasare se guzar jati hai
main tujhe dekh ke an-dekha bhi kar sakti hun
aankh muDti hai nazare se guzar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.