shamil tha ye sitam bhi kisi ke nisab mein
shāmil thā ye sitam bhī kisī ke nisāb meñ
titlī milī hanūt purānī kitāb meñ
dekhūñgā kis tarah se kisī ko azaab meñ
sab ke gunāh Daal de mere hisāb meñ
phir bevafā ko bahr-e-mohabbat samajh liyā
phir dil kī naav Duub ga.ī hai sarāb meñ
pahle gulāb us meñ dikhā.ī diyā mujhe
ab vo mujhe dikhā.ī diyā hai gulāb meñ
vo rañg-e-ātshīñ vo dahaktā huā shabāb
chehre ne jaise aag lagā dī naqāb meñ
bārish ne apnā aks kahīñ dekhnā na ho
kyuuñ aa.ine ubharne lage haiñ habāb meñ
gardish kī teziyoñ ne use nuur kar diyā
miTTī chamak rahī hai yahī āftāb meñ
us sañg-dil ko maiñ ne pukārā to thā 'adīm'
apnī sadā hī lauT kar aa.ī javāb meñ
shamil tha ye sitam bhi kisi ke nisab mein
titli mili hanut purani kitab mein
dekhunga kis tarah se kisi ko azab mein
sab ke gunah Dal de mere hisab mein
phir bewafa ko bahr-e-mohabbat samajh liya
phir dil ki naw Dub gai hai sarab mein
pahle gulab us mein dikhai diya mujhe
ab wo mujhe dikhai diya hai gulab mein
wo rang-e-atshin wo dahakta hua shabab
chehre ne jaise aag laga di naqab mein
barish ne apna aks kahin dekhna na ho
kyun aaine ubharne lage hain habab mein
gardish ki teziyon ne use nur kar diya
miTTi chamak rahi hai yahi aaftab mein
us sang-dil ko main ne pukara to tha 'adim'
apni sada hi lauT kar aai jawab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.