shamil tu mere jism main sanson ki tarah hai
shāmil tū mire jism maiñ sāñsoñ kī tarah hai
ye yaad bhī sūkhe hue phūloñ kī tarah hai
dil jis kā nahīñ harf-e-mohabbat se shanāsā
vo zindagī vīrān mazāroñ kī tarah hai
fitrat meñ hai daulat ke khilaunoñ se bahalnā
ik dost mirā shahr meñ bachchoñ kī tarah hai
har raat charāġhāñ sā rahā kartā hai ghar meñ
ik zaḳhm mire dil meñ sitāroñ kī tarah hai
mat kholiyo mujh par kabhī ehsāñ ke darīche
ġhairat mujhe pyārī tirī yādoñ kī tarah hai
patthar sadā zillat ke ta.āqub meñ raheñge
kotāhī-e-guftār gunāhoñ kī tarah hai
shamil tu mere jism main sanson ki tarah hai
ye yaad bhi sukhe hue phulon ki tarah hai
dil jis ka nahin harf-e-mohabbat se shanasa
wo zindagi viran mazaron ki tarah hai
fitrat mein hai daulat ke khilaunon se bahalna
ek dost mera shahr mein bachchon ki tarah hai
har raat charaghan sa raha karta hai ghar mein
ek zaKHm mere dil mein sitaron ki tarah hai
mat kholiyo mujh par kabhi ehsan ke dariche
ghairat mujhe pyari teri yaadon ki tarah hai
patthar sada zillat ke taaqub mein rahenge
kotahi-e-guftar gunahon ki tarah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.