shane ki har zaban se sune koi laf-e-zulf
shāne kī har zabāñ se sune koī lāf-e-zulf
chīre hai siina raat ko ye mū-shigāf-e-zulf
jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyāh
is tarah is sanam ke hai ruḳh par ġhilāf-e-zulf
barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yār
shāmat-zada ne kyā kiyā aisā ḳhilāf-e-zulf
matlab na kufr o diiñ se na dair o haram se kaam
kartā hai dil tavāf-e-izār o tavāf-e-zulf
nāf-e-ġhazāl-e-chīñ hai ki hai nāfa-e-tatār
kyūñkar kahūñ ki hai girah-e-zulf nāf-e-zulf
aapas meñ aaj dast-o-garebāñ hai roz o shab
ai mehr-vash zarī kā nahīñ mū-e-bāf-e-zulf
kahtā hai koī jiim koī laam zulf ko
kahtā huuñ maiñ 'zafar' ki musattah hai kāf-e-zulf
shane ki har zaban se sune koi laf-e-zulf
chire hai sina raat ko ye mu-shigaf-e-zulf
jis tarah se ki kabe pe hai poshish-e-siyah
is tarah is sanam ke hai ruKH par ghilaf-e-zulf
barham hai is qadar jo mere dil se zulf-e-yar
shamat-zada ne kya kiya aisa KHilaf-e-zulf
matlab na kufr o din se na dair o haram se kaam
karta hai dil tawaf-e-izar o tawaf-e-zulf
naf-e-ghazal-e-chin hai ki hai nafa-e-tatar
kyunkar kahun ki hai girah-e-zulf naf-e-zulf
aapas mein aaj dast-o-gareban hai roz o shab
ai mehr-wash zari ka nahin mu-e-baf-e-zulf
kahta hai koi jim koi lam zulf ko
kahta hun main 'zafar' ki musattah hai kaf-e-zulf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.