shayad nasib bosa-e-nalain-e-yar ho
shāyad nasīb bosa-e-nā'lain-e-yār ho
jo ḳhaak ho to ḳhāk-e-sar-e-rahguzār ho
sahrā ho sehn-e-bāġh ho yā kohsār ho
saaqī jahāñ pilā.e vahīñ par bahār ho
ham ḳhaak ho ga.e pa kudūrat nahīñ ga.ī
yārab kisī ke dil meñ na yuuñ bhī ġhubār ho
ulfat hai ġhair kī to suno tum na merā haal
rahm aa hī jā.egā tumheñ nafrat hazār ho
māyūsiyoñ pe bhī na huā mā.il-e-sukūñ
aisā bhī dil kisī kā na parvardigār ho
sab jāntā huuñ hazrat-e-nāseh pa kyā karūñ
dil par karūñ maiñ jabr agar iḳhtiyār ho
yuuñ to ḳhabar hai āmad-e-fasl-e-bahār kī
lekin nasīb meñ bhī to lutf-e-bahār ho
'beḳhud' kī be-ḳhudī bhī hai tere ḳhayāl meñ
terī ḳhudī nahīñ ki taġhāful-shi.ār ho
shayad nasib bosa-e-na'lain-e-yar ho
jo KHak ho to KHak-e-sar-e-rahguzar ho
sahra ho sehn-e-bagh ho ya kohsar ho
saqi jahan pilae wahin par bahaar ho
hum KHak ho gae pa kudurat nahin gai
yarab kisi ke dil mein na yun bhi ghubar ho
ulfat hai ghair ki to suno tum na mera haal
rahm aa hi jaega tumhein nafrat hazar ho
mayusiyon pe bhi na hua mail-e-sukun
aisa bhi dil kisi ka na parwardigar ho
sab jaanta hun hazrat-e-naseh pa kya karun
dil par karun main jabr agar iKHtiyar ho
yun to KHabar hai aamad-e-fasl-e-bahaar ki
lekin nasib mein bhi to lutf-e-bahaar ho
'beKHud' ki be-KHudi bhi hai tere KHayal mein
teri KHudi nahin ki taghaful-shiar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.