shab-e-daraaz tujhe kuchh KHabar gai ki nahin
shab-e-darāz tujhe kuchh ḳhabar ga.ī ki nahīñ
sahar qarīb se chhū kar guzar ga.ī ki nahīñ
chaman meñ jaao zarā aur phir batāo hameñ
guloñ ke chehre se zardī utar ga.ī ki nahīñ
tumhāre shahr meñ kyuuñ aaj hū kā aalam hai
sabā idhar se guzar kar udhar ga.ī ki nahīñ
patā karo mire ma.ashūq kī galī jā kar
bahār bhī vahīñ jā kar Thahar ga.ī ki nahīñ
shab-e-daraaz tujhe kuchh KHabar gai ki nahin
sahar qarib se chhu kar guzar gai ki nahin
chaman mein jao zara aur phir batao hamein
gulon ke chehre se zardi utar gai ki nahin
tumhaare shahr mein kyun aaj hu ka aalam hai
saba idhar se guzar kar udhar gai ki nahin
pata karo mere mashuq ki gali ja kar
bahaar bhi wahin ja kar Thahar gai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.