shab-e-firaq ki zulmat hai na-gawar mujhe
shab-e-firāq kī zulmat hai nā-gavār mujhe
naqāb uThā ki sahar kā hai intizār mujhe
qasam hai laala o gul ke udaas chehroñ kī
fareb de na sakā mausam-e-bahār mujhe
ba-sūrat-e-dil-e-pur-dāġh un kī mahfil se
atā huī hai mohabbat kī yādgār mujhe
mazāq kal jo uḌātī thī ġham ke māroñ kā
vo aañkh kyuuñ nazar aatī hai sogvār mujhe
jafā o jaur-e-musalsal vafā o zabt-e-alam
vo iḳhtiyār tumheñ hai ye iḳhtiyār mujhe
shab-e-firaq ki zulmat hai na-gawar mujhe
naqab uTha ki sahar ka hai intizar mujhe
qasam hai lala o gul ke udas chehron ki
fareb de na saka mausam-e-bahaar mujhe
ba-surat-e-dil-e-pur-dagh un ki mahfil se
ata hui hai mohabbat ki yaadgar mujhe
mazaq kal jo uDati thi gham ke maron ka
wo aankh kyun nazar aati hai sogwar mujhe
jafa o jaur-e-musalsal wafa o zabt-e-alam
wo iKHtiyar tumhein hai ye iKHtiyar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.