shab-e-firaq mein bhi wasl sa surur raha
shab-e-firāq meñ bhī vasl sā surūr rahā
rahā na paas mire vo na mujh se duur rahā
kareñge 'ishq uḌā.eñge ḳhaak sahrā meñ
ki kam-sinī se hameñ ik yahī futūr rahā
kalīm hasrateñ karte hī rah ga.e āḳhir
magar nasīb to dekho ki nazr-e-tūr rahā
sarā-e-dil meñ nahīñ ik zarā bhī tanhā.ī
koī na koī yahāñ dam-ba-dam zarūr rahā
'ajīb haal hai 'sā.in' kaheñ to kis se kaheñ
ki pastiyoñ pe hameñ kis qadar ġhurūr rahā
shab-e-firaq mein bhi wasl sa surur raha
raha na pas mere wo na mujh se dur raha
karenge 'ishq uDaenge KHak sahra mein
ki kam-sini se hamein ek yahi futur raha
kalim hasraten karte hi rah gae aaKHir
magar nasib to dekho ki nazr-e-tur raha
sara-e-dil mein nahin ek zara bhi tanhai
koi na koi yahan dam-ba-dam zarur raha
'ajib haal hai 'sain' kahen to kis se kahen
ki pastiyon pe hamein kis qadar ghurur raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.