shab-e-firāq meñ maiñ nāla-o-fuġhāñ kartā
to sun ke saarā jahāñ shor-e-al-amāñ kartā
jahāñ meñ kis liye maiñ ulfat-e-butāñ kartā
do-roza umr ko kyoñ apnī rā.egāñ kartā
maiñ aap apne ko kartā zamīn kā paivand
jo yaad sohbat-e-yārān-e-raftagāñ kartā
kunisht-o-dair-o-haram meñ na dekhā jalva tirā
tujhe talāsh mirī jaan phir kahāñ kartā
zarūr aañkh meñ un ke bhī ashk bhar aate
jo un se sadma-e-furqat ko maiñ bayāñ kartā
jo hotā dasht-e-junūñ meñ kabhī guzar merā
zarūr dāman-e-sahrā bhī dhajjiyāñ kartā
jhapaktī ḳhanjar-e-ḳhūñ-ḳhvār se na aañkh mirī
hazār martaba qātil jo imtihāñ kartā
vo saḳht-jāñ thā ki aarī use banā detā
gale pe merī jo ḳhanjar koī ravāñ kartā
butoñ ke hijr meñ jaltā jo barhaman kā dil
to shor sūrat-e-nāqūs har-zabāñ kartā
kabhī na nāqa-e-lailā ko tez le jaatā
ḳhayāl-e-qais-e-hazīñ kuchh jo sārbāñ kartā
ujaaḌ dekh ke gulshan ko ḳhuub rotā maiñ
guzar ḳhizāñ meñ agar sū-e-bostāñ kartā
jo phuul toḌtā shāḳhoñ se mausam-e-gul meñ
sitam ye bulbul-e-mahzūñ pe bāġhbāñ kartā
butān-e-dair se kartā agar mohabbat maiñ
tamām umr ke a.amāl rā.egāñ kartā
hamāre qatl ko qātil na khīñchtā ḳhanjar
dikhā ke abrū-e-ḳhamdār nīm-jāñ kartā
phañsā ke daam meñ sayyād mujh se bulbul ko
ujaaḌ baaġh meñ phir merā āshiyāñ kartā
bahār aate hī pīr-e-muġhān-e-dariyā-dil
zarūr duḳhtar-e-raz nazr-e-mai-kashāñ kartā
tamām umr gañvā.ī gunāh karne meñ
ḳhudā se ḳhaak 'vafā' ḳhvāhish-e-jināñ kartā
shab-e-firaq mein main nala-o-fughan karta
to sun ke sara jahan shor-e-al-aman karta
jahan mein kis liye main ulfat-e-butan karta
do-roza umr ko kyon apni raegan karta
main aap apne ko karta zamin ka paiwand
jo yaad sohbat-e-yaran-e-raftagan karta
kunisht-o-dair-o-haram mein na dekha jalwa tera
tujhe talash meri jaan phir kahan karta
zarur aankh mein un ke bhi ashk bhar aate
jo un se sadma-e-furqat ko main bayan karta
jo hota dasht-e-junun mein kabhi guzar mera
zarur daman-e-sahra bhi dhajjiyan karta
jhapakti KHanjar-e-KHun-KHwar se na aankh meri
hazar martaba qatil jo imtihan karta
wo saKHt-jaan tha ki aari use bana deta
gale pe meri jo KHanjar koi rawan karta
buton ke hijr mein jalta jo barhaman ka dil
to shor surat-e-naqus har-zaban karta
kabhi na naqa-e-laila ko tez le jata
KHayal-e-qais-e-hazin kuchh jo sarban karta
ujaD dekh ke gulshan ko KHub rota main
guzar KHizan mein agar su-e-bostan karta
jo phul toDta shaKHon se mausam-e-gul mein
sitam ye bulbul-e-mahzun pe baghban karta
butan-e-dair se karta agar mohabbat main
tamam umr ke aamal raegan karta
hamare qatl ko qatil na khinchta KHanjar
dikha ke abru-e-KHamdar nim-jaan karta
phansa ke dam mein sayyaad mujh se bulbul ko
ujaD bagh mein phir mera aashiyan karta
bahaar aate hi pir-e-mughan-e-dariya-dil
zarur duKHtar-e-raz nazr-e-mai-kashan karta
tamam umr ganwai gunah karne mein
KHuda se KHak 'wafa' KHwahish-e-jinan karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.