shab-e-firaq mein mere wo baal-o-par katar gaya
shab-e-firāq meñ mire vo bāl-o-par katar gayā
parind us kī yaad kā na.ī uḌaan bhar gayā
yahāñ pe ḳhuun bah gayā vahāñ pe laash gir paḌī
na jaane kaun shaḳhs thā safar tamām kar gayā
kisī kī niiñd TūTtī koī to raat jāgtā
isī nagar meñ raat ko kisī kā ḳhvāb mar gayā
na tā.eroñ kā ġhol hī hamārī chhat pe aa rukā
na apne ghar ke sāmne vo kārvāñ Thahar gayā
vo dopahar guzar ga.ī vo sar ke baal jhaḌ ga.e
'ayāz' itnī der meñ hamārā din guzar gayā
shab-e-firaq mein mere wo baal-o-par katar gaya
parind us ki yaad ka nai uDan bhar gaya
yahan pe KHun bah gaya wahan pe lash gir paDi
na jaane kaun shaKHs tha safar tamam kar gaya
kisi ki nind TuTti koi to raat jagta
isi nagar mein raat ko kisi ka KHwab mar gaya
na taeron ka ghol hi hamari chhat pe aa ruka
na apne ghar ke samne wo karwan Thahar gaya
wo dopahar guzar gai wo sar ke baal jhaD gae
'ayaz' itni der mein hamara din guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.