shab-e-furqat qaza nahin aati
shab-e-furqat qazā nahīñ aatī
laakh kahtā huuñ aa nahīñ aatī
chup haiñ vo sun ke shikva-e-aġhyār
baat bhī to banā nahīñ aatī
vo to va.ade pe aa chuke ai maut
tū bhī aatī hai yā nahīñ aatī
kis maraz kī davā haiñ aap agar
dard-e-dil kī davā nahīñ aatī
shīsha-e-dil hai kis qadar nāzuk
TūTne kī sadā nahīñ aatī
ham haiñ āzāda-rau jahāñ meñ 'nasīm'
yaañ havas kī havā nahīñ aatī
shab-e-furqat qaza nahin aati
lakh kahta hun aa nahin aati
chup hain wo sun ke shikwa-e-aghyar
baat bhi to bana nahin aati
wo to wade pe aa chuke ai maut
tu bhi aati hai ya nahin aati
kis maraz ki dawa hain aap agar
dard-e-dil ki dawa nahin aati
shisha-e-dil hai kis qadar nazuk
TuTne ki sada nahin aati
hum hain aazada-rau jahan mein 'nasim'
yan hawas ki hawa nahin aati
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 157)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.