shab-e-gham meri shab-e-gham sar-e-sham lauT aana
shab-e-ġham mirī shab-e-ġham sar-e-shām lauT aanā
na kahīñ tirā Thikāna na kahīñ mirā Thikāna
tujhe kyā hai is se hāsil ki qamar hai terī manzil
tire sar pe hai abhī tak vahī āsmāñ purānā
tujhe husn-o-ishq donoñ hī atā hue ye kah kar
ye chaman hai muskurānā ye nadī hai Duub jaanā
koī aaj tak na samjhā ki shabāb hai to kyā hai
yahī umr jāgne kī yahī niiñd kā zamāna
jo zarā sī aañkh kholī to hazār hashr dekhe
ye ḳhudī jo so rahī hai ise ab na phir jagānā
shab-e-gham meri shab-e-gham sar-e-sham lauT aana
na kahin tera Thikana na kahin mera Thikana
tujhe kya hai is se hasil ki qamar hai teri manzil
tere sar pe hai abhi tak wahi aasman purana
tujhe husn-o-ishq donon hi ata hue ye kah kar
ye chaman hai muskurana ye nadi hai Dub jaana
koi aaj tak na samjha ki shabab hai to kya hai
yahi umr jagne ki yahi nind ka zamana
jo zara si aankh kholi to hazar hashr dekhe
ye KHudi jo so rahi hai ise ab na phir jagana
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 59)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.