Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-hijr yun dil ko bahla rahe hain

Manzar Lakhnavi

shab-e-hijr yun dil ko bahla rahe hain

Manzar Lakhnavi

MORE BYManzar Lakhnavi

    shab-e-hijr yuuñ dil ko bahlā rahe haiñ

    ki din bhar biitī ko dohrā rahe haiñ

    mire dil ke TukḌe kiye rahe haiñ

    mohabbat tashrīh farmā rahe haiñ

    mirā dard nahīñ saktā tauba

    ḳhudā.ī ke da.ave kiye rahe haiñ

    hañsī aane baat hai hañs rahā huuñ

    mujhe log dīvāna farmā rahe haiñ

    ajab shai hai soz-o-gudāz-e-mohabbat

    ki dil jalne meñ bhī maze aa rahe haiñ

    usī bevafā paas phir kuchh umīdeñ

    liye rahī haiñ chale rahe haiñ

    zideñ tauba tauba haTeñ allāh allāh

    hamīñ haiñ jo is dil ko bahlā rahe haiñ

    mirī raat kyuuñ kar kaTegī ilāhī

    mujhe din ko taare nazar aa rahe haiñ

    na āġhāz ulfat achchhā thā 'manzar'

    na anjām achchhe nazar aa rahe haiñ

    shab-e-hijr yun dil ko bahla rahe hain

    ki din bhar ki biti ko dohra rahe hain

    mere dil ke TukDe kiye ja rahe hain

    mohabbat ki tashrih farma rahe hain

    mera dard ja hi nahin sakta tauba

    KHudai ke dawe kiye ja rahe hain

    hansi aane ki baat hai hans raha hun

    mujhe log diwana farma rahe hain

    ajab shai hai soz-o-gudaz-e-mohabbat

    ki dil jalne mein bhi maze aa rahe hain

    usi bewafa pas phir kuchh umiden

    liye ja rahi hain chale ja rahe hain

    ziden tauba tauba haTen allah allah

    hamin hain jo is dil ko bahla rahe hain

    meri raat kyun kar kaTegi ilahi

    mujhe din ko tare nazar aa rahe hain

    na aaghaz ulfat ka achchha tha 'manzar'

    na anjam achchhe nazar aa rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now