shab-e-mah mein jo palang par mere sath soe to kya hue
shab-e-mah mein jo palang par mere sath soe to kya hue
Ahmad Husain Mail
MORE BYAhmad Husain Mail
shab-e-māh meñ jo palañg par mire saath so.e to kyā hue
kabhī lipTe ban ke vo chāñdnī kabhī chāñd ban ke judā hue
hue vaqt-e-āḳhirī mehrbāñ dam-e-avvalīñ jo ḳhafā hue
vo abad meñ aa ke gale mile jo azal meñ ham se judā hue
ye ilāhī kaisā ġhazab huā vo samā.e mujh meñ to kyā hue
mirā dil bane to taḌap ga.e mirā sar bane to judā hue
chale saath saath qadam qadam koī ye na samjhā ki haiñ baham
kabhī dhuup ban ke lipaT ga.e kabhī saaya ban ke judā hue
abhī haiñ zamāne se be-ḳhabar rakhā haath rakkhe ye laash par
uTho bas uTho kahā maan lo mirī kyā ḳhatā jo ḳhafā hue
haiñ ajiib murġh-e-shikasta-par na chaman meñ ghar na qafas meñ ghar
jo gire to saaya haiñ ḳhaak par jo uThe to mauj-e-havā hue
vo araq araq hue jis ghaḌī mujhe umr-e-ḳhizr atā huī
shab-e-vasl qatre pasīne ke mire haq meñ āb-e-baqā hue
kabhī shakl-e-ā.ina rū-ba-rū kabhī tuutī aur kabhī guftugū
kabhī shaḳhs ban ke gale mile kabhī aks ban ke judā hue
na tajalliyāñ haiñ na garmiyāñ na sharārteñ haiñ na phurtiyāñ
hama-tan the din ko to shoḳhiyāñ hama-tan vo shab ko hayā hue
mire naale haiñ ki azal abad tire ishve haiñ ki lab-e-masīh
vahāñ kun kā ġhalġhala vo bane yahāñ qum kī ye jo sadā hue
gire zaat meñ to hai jumla-ūst uThe jab sifat meñ hama-az-dast
kahā kaun ho to mile rahe kahā naam kyā to judā hue
kiye us ne bazm meñ sho.abde malī mehñdī haath pe sham.a ke
jo patañge raat ko jal ga.e vo tamām murġh-e-hinā hue
mire dil ke dekho to valvale ki har ek rañg meñ jā milī
jo ghaTe to un kā dahan bane jo baḌhe to arz-o-samā hue
vahī farsh-o-arsh-nashīñ rahe hue naam alag jo kahīñ rahe
ga.e dair meñ to sanam bane ga.e lā-makāñ to ḳhudā hue
jo tasavvur un kā judā huā dil be-ḳhabar ne ye dī sadā
abhī ham-baġhal the kidhar ga.e abhī god meñ the vo kyā hue
kabhī sozisheñ kabhī āfateñ kabhī ranjisheñ kabhī rāhateñ
milīñ chaar ham ko ye ne.amateñ tire ishq meñ jo fanā hue
hameñ shauq ye ki ho ek taur use zauq ye ki ho shakl aur
bane aag to bujhe aab meñ mile ḳhaak meñ to havā hue
ga.e sar se jabki vo tā-kamar to alif idhar kā huā udhar
tirā joḌā khulte hī baal sab pas-e-pusht aa ke balā hue
koī dab gayā koī mar gayā koī pis gayā koī miT gayā
tire ishve se jab se falak bane tire ġhamze jab se qazā hue
mujhe gudgudī se ġhash aa gayā to hilā ke shāna yahī kahā
abhī hañste the abhī mar ga.e abhī kyā the tum abhī kyā hue
kaho kāfiroñ se kareñ ḳhushī ki ye mas.ala hai tanāsuḳhī
mire naale ḳhaak meñ jab mile to subū ke dast-e-duā hue
pas-e-vasl ham jo sarak ga.e to vo khilkhilā ke phaḌak ga.e
kahā shoḳhiyoñ ne chalo haTo ki huzūr tum se ḳhafā hue
tumheñ log kahte haiñ naujavāñ ki ho biis tiis ke darmiyāñ
kaho mujh se 'mā.il'-e-ḳhush-bayāñ vo tumhāre valvale kyā hue
shab-e-mah mein jo palang par mere sath soe to kya hue
kabhi lipTe ban ke wo chandni kabhi chand ban ke juda hue
hue waqt-e-aKHiri mehrban dam-e-awwalin jo KHafa hue
wo abad mein aa ke gale mile jo azal mein hum se juda hue
ye ilahi kaisa ghazab hua wo samae mujh mein to kya hue
mera dil bane to taDap gae mera sar bane to juda hue
chale sath sath qadam qadam koi ye na samjha ki hain baham
kabhi dhup ban ke lipaT gae kabhi saya ban ke juda hue
abhi hain zamane se be-KHabar rakha hath rakkhe ye lash par
uTho bas uTho kaha man lo meri kya KHata jo KHafa hue
hain ajib murgh-e-shikasta-par na chaman mein ghar na qafas mein ghar
jo gire to saya hain KHak par jo uThe to mauj-e-hawa hue
wo araq araq hue jis ghaDi mujhe umr-e-KHizr ata hui
shab-e-wasl qatre pasine ke mere haq mein aab-e-baqa hue
kabhi shakl-e-aina ru-ba-ru kabhi tuti aur kabhi guftugu
kabhi shaKHs ban ke gale mile kabhi aks ban ke juda hue
na tajalliyan hain na garmiyan na shararten hain na phurtiyan
hama-tan the din ko to shoKHiyan hama-tan wo shab ko haya hue
mere nale hain ki azal abad tere ishwe hain ki lab-e-masih
wahan kun ka ghalghala wo bane yahan qum ki ye jo sada hue
gire zat mein to hai jumla-ust uThe jab sifat mein hama-az-dast
kaha kaun ho to mile rahe kaha nam kya to juda hue
kiye us ne bazm mein shoabde mali mehndi hath pe shama ke
jo patange raat ko jal gae wo tamam murgh-e-hina hue
mere dil ke dekho to walwale ki har ek rang mein ja mili
jo ghaTe to un ka dahan bane jo baDhe to arz-o-sama hue
wahi farsh-o-arsh-nashin rahe hue nam alag jo kahin rahe
gae dair mein to sanam bane gae la-makan to KHuda hue
jo tasawwur un ka juda hua dil be-KHabar ne ye di sada
abhi ham-baghal the kidhar gae abhi god mein the wo kya hue
kabhi sozishen kabhi aafaten kabhi ranjishen kabhi rahaten
milin chaar hum ko ye neamaten tere ishq mein jo fana hue
hamein shauq ye ki ho ek taur use zauq ye ki ho shakl aur
bane aag to bujhe aab mein mile KHak mein to hawa hue
gae sar se jabki wo ta-kamar to alif idhar ka hua udhar
tera joDa khulte hi baal sab pas-e-pusht aa ke bala hue
koi dab gaya koi mar gaya koi pis gaya koi miT gaya
tere ishwe se jab se falak bane tere ghamze jab se qaza hue
mujhe gudgudi se ghash aa gaya to hila ke shana yahi kaha
abhi hanste the abhi mar gae abhi kya the tum abhi kya hue
kaho kafiron se karen KHushi ki ye masala hai tanasuKHi
mere nale KHak mein jab mile to subu ke dast-e-dua hue
pas-e-wasl hum jo sarak gae to wo khilkhila ke phaDak gae
kaha shoKHiyon ne chalo haTo ki huzur tum se KHafa hue
tumhein log kahte hain naujawan ki ho bis tis ke darmiyan
kaho mujh se 'mail'-e-KHush-bayan wo tumhaare walwale kya hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.