shab-e-siyah hua roz ai sajan tujh bin
shab-e-siyāh huā roz ai sajan tujh bin
misāl-e-sham.a jale ahl-e-anjuman tujh bin
huī hai jaan mujhe zindagī maran tujh bin
kafan huī haiñ badan ke uupar basan tujh bin
na shahr biich mirā dil lage na sahrā meñ
kuchh āvatī nahīñ ai maah mujh siiñ ban tujh bin
huā hai aag kā sho.ala sharāb pyāle meñ
lagā hai jaan labāñ kuuñ mire dahan tujh bin
udaas dil pe hamārā kahīñ na jā parchā
kaThin huā hai mujhe shahr meñ basan tujh bin
kabhī to yaad kar iḳhlās fātiha kahnā
ki 'ābrū' kā huā hijr siiñ maran tujh bin
shab-e-siyah hua roz ai sajan tujh bin
misal-e-shama jale ahl-e-anjuman tujh bin
hui hai jaan mujhe zindagi maran tujh bin
kafan hui hain badan ke upar basan tujh bin
na shahr bich mera dil lage na sahra mein
kuchh aawati nahin ai mah mujh sin ban tujh bin
hua hai aag ka shoala sharab pyale mein
laga hai jaan laban kun mere dahan tujh bin
udas dil pe hamara kahin na ja parcha
kaThin hua hai mujhe shahr mein basan tujh bin
kabhi to yaad kar iKHlas fatiha kahna
ki 'abru' ka hua hijr sin maran tujh bin
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 179)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.