shab-e-wada andhera chha gaya kya tum na aaoge
shab-e-va.ada añdherā chhā gayā kyā tum na aaoge
falak par chāñd bhī kajlā gayā kyā tum na aaoge
tumhārā hijr aafat Dhā gayā kyā tum na aaoge
hamārā dil bahut ghabrā gayā kyā tum na aaoge
chaman meñ har taraf gulhā-e-rañgīñ muskurā uThe
bahāroñ kā zamāna aa gayā kyā tum na aaoge
hamārī jaan par ban aatī hai daur-e-mohabbat meñ
junūn-e-dil qayāmat Dhā gayā kyā tum na aaoge
kahāñ tak intizār-e-jalva meñ taḌpeñ mirī āñkheñ
dil-e-betāb ab ghabrā gayā kyā tum na aaoge
marīz-e-dard-o-ġham par naza.a kā aalam huā taarī
sar-e-bālīñ zamāna aa gayā kyā tum na aaoge
sar-e-mai-ḳhāna ik duniyā chalī aatī hai piine ko
vo dekho mast bādal chhā gayā kyā tum na aaoge
dam-e-āḳhir na thiiñ kuchh aur bāteñ us ke hoñToñ par
marīz-e-ġham yahī kahtā rahā kyā tum na aaoge
tumhārī yaad meñ 'ejāz' apne hosh kho baiThā
use tanhā.ī kā ġham khā gayā kyā tum na aaoge
shab-e-wada andhera chha gaya kya tum na aaoge
falak par chand bhi kajla gaya kya tum na aaoge
tumhaara hijr aafat Dha gaya kya tum na aaoge
hamara dil bahut ghabra gaya kya tum na aaoge
chaman mein har taraf gulha-e-rangin muskura uThe
bahaaron ka zamana aa gaya kya tum na aaoge
hamari jaan par ban aati hai daur-e-mohabbat mein
junun-e-dil qayamat Dha gaya kya tum na aaoge
kahan tak intizar-e-jalwa mein taDpen meri aankhen
dil-e-betab ab ghabra gaya kya tum na aaoge
mariz-e-dard-o-gham par naza ka aalam hua tari
sar-e-baalin zamana aa gaya kya tum na aaoge
sar-e-mai-KHana ek duniya chali aati hai pine ko
wo dekho mast baadal chha gaya kya tum na aaoge
dam-e-aKHir na thin kuchh aur baaten us ke honTon par
mariz-e-gham yahi kahta raha kya tum na aaoge
tumhaari yaad mein 'ejaz' apne hosh kho baiTha
use tanhai ka gham kha gaya kya tum na aaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.