shab-e-wasl bhi lab pe aae gae hain
shab-e-vasl bhī lab pe aa.e ga.e haiñ
ye naale bahut muñh lagā.e ga.e haiñ
ḳhudā jaane ham kis ke pahlū meñ hoñge
adam ko sab apne parā.e ga.e haiñ
vahī raah miltī hai chal phir ke ham ko
jahāñ ḳhaak meñ dil milā.e ga.e haiñ
mire dil kī kyūñkar na ho pā.emālī
bahut is meñ armān aa.e ga.e haiñ
gile shikve jhūTe bhī the kis maze ke
ham ilzām dānista khaa.e ga.e haiñ
nigah ko jigar zulf ko dil diyā hai
ye donoñ Thikāne lagā.e ga.e haiñ
rahe chup na ham bhī dam-e-arz-e-matlab
vo ik ik kī sau sau sunā.e ga.e haiñ
farishte bhī dekheñ to khul jaa.eñ āñkheñ
bashar ko vo jalve dikhā.e ga.e haiñ
chalo hazrat-e-'dāġh' kī sair dekheñ
vahāñ aaj bhī vo bulā.e ga.e haiñ
shab-e-wasl bhi lab pe aae gae hain
ye nale bahut munh lagae gae hain
KHuda jaane hum kis ke pahlu mein honge
adam ko sab apne parae gae hain
wahi rah milti hai chal phir ke hum ko
jahan KHak mein dil milae gae hain
mere dil ki kyunkar na ho paemali
bahut is mein arman aae gae hain
gile shikwe jhuTe bhi the kis maze ke
hum ilzam danista khae gae hain
nigah ko jigar zulf ko dil diya hai
ye donon Thikane lagae gae hain
rahe chup na hum bhi dam-e-arz-e-matlab
wo ek ek ki sau sau sunae gae hain
farishte bhi dekhen to khul jaen aankhen
bashar ko wo jalwe dikhae gae hain
chalo hazrat-e-'dagh' ki sair dekhen
wahan aaj bhi wo bulae gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.