shab-e-visal hansi aati hai muqaddar par
shab-e-visāl hañsī aatī hai muqaddar par
vo ham se ruuTh ke sone chale haiñ bistar par
vo saḳht-jāñ huuñ ki qātil hai jaan se aajiz
kabhī gale pe hai ḳhanjar kabhī hai patthar par
chaleñge ka.abe ko zamzam pe dho to leñ zāhid
bahut sharāb ke dhabbe haiñ dāman-e-tar par
marīz-e-ishq se tañg aa ke chārāgar ne kahā
use bulāo ye martā hai jis sitamgar par
shab-e-firāq dil-e-be-qarār duur rahe
taḌap sakeñge na ham donoñ ek bistar par
shab-e-visal hansi aati hai muqaddar par
wo hum se ruTh ke sone chale hain bistar par
wo saKHt-jaan hun ki qatil hai jaan se aajiz
kabhi gale pe hai KHanjar kabhi hai patthar par
chalenge kabe ko zamzam pe dho to len zahid
bahut sharab ke dhabbe hain daman-e-tar par
mariz-e-ishq se tang aa ke chaaragar ne kaha
use bulao ye marta hai jis sitamgar par
shab-e-firaq dil-e-be-qarar dur rahe
taDap sakenge na hum donon ek bistar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.