shab-e-visal ye kahte hain wo suna ke mujhe
shab-e-visāl ye kahte haiñ vo sunā ke mujhe
kisī ne luuT liyā apne ghar bulā ke mujhe
pukārtā nahīñ koī lahad par aa ke mujhe
mire nasīb bhī kyā so rahe sulā ke mujhe
vo bole vasl ke shab aap meñ na pā ke mujhe
chale ga.e haiñ kahāñ apne ghar bulā ke mujhe
girā diyā hai kuchh is tarah us ne āñkhoñ se
ki dekhtā nahīñ koī nazar uThā ke mujhe
parī thī koī chhalāvā thī yā javānī thī
kahāñ ye ho ga.ī champat jhalak dikhā ke mujhe
tumhārī bazm meñ aa.e to jām-e-mai mujh tak
balā se de de koī zahr hī milā ke mujhe
uThā jo bazm se un kī to rok kar ye kahā
ki le chale ho kahāñ dil meñ tum chhupā ke mujhe
ye tere hijr kā ġham thā vo tere ishq kā daaġh
gayā jo khā ke mujhe jo miTā miTā ke mujhe
jahāñ pe jaate hue mere hosh uḌte haiñ
tirā ḳhayāl vahāñ le chalā lagā ke mujhe
mujhe hai ġhash unheñ hairat ajiib aalam hai
maiñ kho gayā huuñ unheñ dekh kar vo pā ke mujhe
mirī nigāh meñ phirtī hai merī maut kī shakl
jab aap dekhte haiñ tevriyāñ chaḌhā ke mujhe
na dekho ā.īna dekho mirā kahā maano
dikhāo ġhair ko sūrat na muñh dikhā ke mujhe
taḌap le dil kī ye kah kah ke koī aatā hai
biThā diyā hai lahad meñ uThā uThā ke mujhe
gale lagā de karūñ pyaar terī teġh ko maiñ
ki yaad aa.e karishme tirī adā ke mujhe
ye mere rone pe hañstī hai kyuuñ mirī taqdīr
vo apne dil meñ to kuḌhte nahīñ rulā ke mujhe
jo miTTī dī hai to ab fātiha bhī paḌhte jaao
kuchh ab savāb bhī lo ḳhaak meñ milā ke mujhe
'hafīz' hashr meñ kar hī chukā thā maiñ fariyād
ki us ne DaañT diyā sāmne se aa ke mujhe
shab-e-visal ye kahte hain wo suna ke mujhe
kisi ne luT liya apne ghar bula ke mujhe
pukarta nahin koi lahad par aa ke mujhe
mere nasib bhi kya so rahe sula ke mujhe
wo bole wasl ke shab aap mein na pa ke mujhe
chale gae hain kahan apne ghar bula ke mujhe
gira diya hai kuchh is tarah us ne aankhon se
ki dekhta nahin koi nazar uTha ke mujhe
pari thi koi chhalawa thi ya jawani thi
kahan ye ho gai champat jhalak dikha ke mujhe
tumhaari bazm mein aae to jam-e-mai mujh tak
bala se de de koi zahr hi mila ke mujhe
uTha jo bazm se un ki to rok kar ye kaha
ki le chale ho kahan dil mein tum chhupa ke mujhe
ye tere hijr ka gham tha wo tere ishq ka dagh
gaya jo kha ke mujhe jo miTa miTa ke mujhe
jahan pe jate hue mere hosh uDte hain
tera KHayal wahan le chala laga ke mujhe
mujhe hai ghash unhen hairat ajib aalam hai
main kho gaya hun unhen dekh kar wo pa ke mujhe
meri nigah mein phirti hai meri maut ki shakl
jab aap dekhte hain tewriyan chaDha ke mujhe
na dekho aaina dekho mera kaha mano
dikhao ghair ko surat na munh dikha ke mujhe
taDap le dil ki ye kah kah ke koi aata hai
biTha diya hai lahad mein uTha uTha ke mujhe
gale laga de karun pyar teri tegh ko main
ki yaad aae karishme teri ada ke mujhe
ye mere rone pe hansti hai kyun meri taqdir
wo apne dil mein to kuDhte nahin rula ke mujhe
jo miTTi di hai to ab fatiha bhi paDhte jao
kuchh ab sawab bhi lo KHak mein mila ke mujhe
'hafiz' hashr mein kar hi chuka tha main fariyaad
ki us ne DanT diya samne se aa ke mujhe
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-220 Page Number-199)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.