yaad karne ko yun to kya kuchh hai
yaad karne ko yuuñ to kyā kuchh hai
kab hamārā jiyā huā kuchh hai
aur to kuchh nahīñ hamāre paas
par tumhārā chhuā huā kuchh hai
ek hī vāqi.a thā phir bhī yaad
tum ko kuchh mujh ko dūsrā kuchh hai
itnā māhir hai duniyā-dārī meñ
sochtā kuchh hai boltā kuchh hai
apnī palkoñ ko muuñd le nādāñ
sāmne kuchh hai dekhtā kuchh hai
andarūñ roz mujh se kahtā hai
jiite jaane se mudda.ā kuchh hai ?
maut jab aa.ī tab huā ma.alūm
bujhtī āñkhoñ meñ ḳhvāb sā kuchh hai
us ko jab dekhte hue dekhā
tab khulā ham pe dekhnā kuchh hai
soch lete haiñ us ko vaqt-ba-vaqt
jiite rahne meñ fā.eda kuchh hai
tum ne dekhā hai haal duniyā kā
tum ko lagtā hai kyā ḳhudā kuchh hai ?
yaad karne ko yun to kya kuchh hai
kab hamara jiya hua kuchh hai
aur to kuchh nahin hamare pas
par tumhaara chhua hua kuchh hai
ek hi waqia tha phir bhi yaad
tum ko kuchh mujh ko dusra kuchh hai
itna mahir hai duniya-dari mein
sochta kuchh hai bolta kuchh hai
apni palkon ko mund le nadan
samne kuchh hai dekhta kuchh hai
andarun roz mujh se kahta hai
jite jaane se muddaa kuchh hai ?
maut jab aai tab hua malum
bujhti aankhon mein KHwab sa kuchh hai
us ko jab dekhte hue dekha
tab khula hum pe dekhna kuchh hai
soch lete hain us ko waqt-ba-waqt
jite rahne mein faeda kuchh hai
tum ne dekha hai haal duniya ka
tum ko lagta hai kya KHuda kuchh hai ?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.