shab ke mathe pe kiran pyar ki lahraati hai
shab ke māthe pe kiran pyaar kī lahrātī hai
zindagī pyaar ke pahlū meñ simaT aatī hai
din guzartā hai ujāloñ kī tavaqqo karte
raat zaḳhmoñ kī mudārāt meñ kaT jaatī hai
dekhtā huuñ to añdheroñ ke vahī lashkar haiñ
sochtā huuñ to koī sub.h nikhar jaatī hai
jis taraf dekhiye māhaul kī peshānī par
ek jaltī huī tahrīr nazar aatī hai
ik kahānī hai ki āvāra tamanna jis ko
ġham kī dīvār se lag ke abhī dohrātī hai
shab ke mathe pe kiran pyar ki lahraati hai
zindagi pyar ke pahlu mein simaT aati hai
din guzarta hai ujalon ki tawaqqo karte
raat zaKHmon ki mudaraat mein kaT jati hai
dekhta hun to andheron ke wahi lashkar hain
sochta hun to koi subh nikhar jati hai
jis taraf dekhiye mahaul ki peshani par
ek jalti hui tahrir nazar aati hai
ek kahani hai ki aawara tamanna jis ko
gham ki diwar se lag ke abhi dohraati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.