shab ke sannaTon se jab ghabra gai Khaali saDak

shab ke sannaTon se jab ghabra gai Khaali saDak
Ahteramulhaque Siddiqui
MORE BYAhteramulhaque Siddiqui
shab ke sannāToñ se jab ghabrā ga.ī ḳhālī saḌak
ghup añdheroñ se lipaT kar ro paḌī kaalī saḌak
rauñdte haiñ log us ko roz qadmoñ meñ magar
sabr kartī hai nahīñ detī kabhī gaalī saḌak
sard rātoñ ko ThiThur kar kaaT detī hai ġharīb
garmiyoñ meñ jheltī hai dhuup kī laalī saḌak
jis musāfir kā nahīñ hotā koī bhī ham-safar
manziloñ tak chhoḌ aatī hai use kaalī saḌak
koī apnā ho parāyā ho hai sab par mehrbāñ
sab ke naḳhre jheltī hai kitnī dil vaalī saḌak
log so jaate haiñ jab shab kī siyāhī oḌh kar
raat bhar tanhā kiyā kartī hai rakhvālī saḌak
aise aise bhī siyāsat-dāñ haiñ mere 'ahd meñ
maal to ḳhud khā ga.e kāġhaz pe banvā lī saḌak
qaumī yak-jehtī kī jiitī jāgtī hai ik misāl
'iid ke din 'iid dīvālī pe dīvālī saḌak
gaañv kī pagDanDiyoñ se shāh-rāhoñ tak 'sharar'
qāfila-sālār maiñ huuñ qāfila ḳhālī saḌak
shab ke sannaTon se jab ghabra gai KHali saDak
ghup andheron se lipaT kar ro paDi kali saDak
raundte hain log us ko roz qadmon mein magar
sabr karti hai nahin deti kabhi gali saDak
sard raaton ko ThiThur kar kaT deti hai gharib
garmiyon mein jhelti hai dhup ki lali saDak
jis musafir ka nahin hota koi bhi ham-safar
manzilon tak chhoD aati hai use kali saDak
koi apna ho paraya ho hai sab par mehrban
sab ke naKHre jhelti hai kitni dil wali saDak
log so jate hain jab shab ki siyahi oDh kar
raat bhar tanha kiya karti hai rakhwali saDak
aise aise bhi siyasat-dan hain mere 'ahd mein
mal to KHud kha gae kaghaz pe banwa li saDak
qaumi yak-jehti ki jiti jagti hai ek misal
'id ke din 'id diwali pe diwali saDak
ganw ki pagDanDiyon se shah-rahon tak 'sharar'
qafila-salar main hun qafila KHali saDak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.