shab ki aaghosh mein mahtab utara usne
shab kī āġhosh meñ mahtāb utārā us ne
merī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb utārā us ne
silsila TuuTā nahīñ mom-sifat logoñ kā
pattharoñ meñ dil-e-betāb utārā us ne
ham samajhte the ki ab koī na aa.egā yahāñ
dil ke sahrā meñ bhī asbāb utārā us ne
bazm meñ ḳhuub luTā.e ga.e chāhat ke gulāb
is tarah sadqa-e-ahbāb utārā us ne
āñsuoñ se kabhī sairāb na hotā sahrā
mere andar koī sailāb utārā us ne
shab ki aaghosh mein mahtab utara us ne
meri aankhon mein koi KHwab utara us ne
silsila TuTa nahin mom-sifat logon ka
pattharon mein dil-e-betab utara us ne
hum samajhte the ki ab koi na aaega yahan
dil ke sahra mein bhi asbab utara us ne
bazm mein KHub luTae gae chahat ke gulab
is tarah sadqa-e-ahbab utara us ne
aansuon se kabhi sairab na hota sahra
mere andar koi sailab utara us ne
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 12)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.