shab ki bahaar subh ki nudrat na puchhiye
shab kī bahār sub.h kī nudrat na pūchhiye
kitnā hasīñ hai ḳhvāb-e-mohabbat na pūchhiye
phūloñ kī ġham-rasīda masarrat na pūchhiye
zāhir meñ ḳhanda-zan haiñ haqīqat na pūchhiye
vo din ga.e ki thī mujhe pursish kī aarzū
mahbūb ho ke ab mirī hālat na pūchhiye
hāthoñ se dil ke chhūT gayā dāman-e-umīd
kyā mil gayā javāb shikāyat na pūchhiye
dil ko na hogī tāb-e-ġham-e-be-tavajjohī
lillāh dāstān-e-mohabbat na pūchhiye
yuuñ dekhte haiñ jaise udhar dekhte nahīñ
us lutf-e-be-ġharaz kī nazākat na pūchhiye
shab ki bahaar subh ki nudrat na puchhiye
kitna hasin hai KHwab-e-mohabbat na puchhiye
phulon ki gham-rasida masarrat na puchhiye
zahir mein KHanda-zan hain haqiqat na puchhiye
wo din gae ki thi mujhe pursish ki aarzu
mahbub ho ke ab meri haalat na puchhiye
hathon se dil ke chhuT gaya daman-e-umid
kya mil gaya jawab shikayat na puchhiye
dil ko na hogi tab-e-gham-e-be-tawajjohi
lillah dastan-e-mohabbat na puchhiye
yun dekhte hain jaise udhar dekhte nahin
us lutf-e-be-gharaz ki nazakat na puchhiye
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 533)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.