shab ko aankhon mein Thaharte koi kab tak dekhe
shab ko āñkhoñ meñ Thaharte koī kab tak dekhe
bādbāñ ḳhvāb kā khilte koī kab tak dekhe
apne hī saa.e se bāteñ kare kab tak koī
itne chup chaap darīche koī kab tak dekhe
vahī āvāz jo patthar meñ badal de mujh ko
muḌ ke is tarah se pīchhe koī kab tak dekhe
itnī yādoñ meñ koī yaad sukūñ de na sakī
is samundar meñ jazīre koī kab tak dekhe
ḳhair tum sā to kahāñ mujh sā nahīñ hai koī
har taraf ek se chehre koī kab tak dekhe
dukh-bharā shahr kā manzar kabhī tabdīl bhī ho
dard ko had se guzarte koī kab tak dekhe
manzileñ ham ko milīñ haiñ na mileñgī lekin
dhuul hote hue raste koī kab tak dekhe
shab ko aankhon mein Thaharte koi kab tak dekhe
baadban KHwab ka khilte koi kab tak dekhe
apne hi sae se baaten kare kab tak koi
itne chup chap dariche koi kab tak dekhe
wahi aawaz jo patthar mein badal de mujh ko
muD ke is tarah se pichhe koi kab tak dekhe
itni yaadon mein koi yaad sukun de na saki
is samundar mein jazire koi kab tak dekhe
KHair tum sa to kahan mujh sa nahin hai koi
har taraf ek se chehre koi kab tak dekhe
dukh-bhara shahr ka manzar kabhi tabdil bhi ho
dard ko had se guzarte koi kab tak dekhe
manzilen hum ko milin hain na milengi lekin
dhul hote hue raste koi kab tak dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.