shab ko ek bar khul ke rota hun
shab ko ik baar khul ke rotā huuñ
phir baḌe sukh kī niiñd sotā huuñ
ashk āñkhoñ ke biich hote haiñ
maiñ unheñ khet khet botā huuñ
mere aañsū kabhī nahīñ rukte
maiñ hamesha vazū meñ hotā huuñ
hotā jaatā huuñ us saḳhī ke qarīb
jaise jaise ġharīb hotā huuñ
shab ko ek bar khul ke rota hun
phir baDe sukh ki nind sota hun
ashk aankhon ke bich hote hain
main unhen khet khet bota hun
mere aansu kabhi nahin rukte
main hamesha wazu mein hota hun
hota jata hun us saKHi ke qarib
jaise jaise gharib hota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.