shab ko tha wo kisi ki banhon mein
shab ko thā vo kisī kī bāñhoñ meñ
aag jaltī rahī nigāhoñ meñ
khul ke barsā nahīñ kabhī sāvan
ek bādal hai in nigāhoñ meñ
tere kūche meñ vo nahīñ aayā
barf sī jam ga.ī thī rāhoñ meñ
kashtiyāñ jal ga.ī haiñ sab shāyad
ik dhuāñ hai kisī kī aahoñ meñ
kab tujhe bhuul paa.ī pal bhar ko
ye bhī shāmil mire gunāhoñ meñ
shab ko tha wo kisi ki banhon mein
aag jalti rahi nigahon mein
khul ke barsa nahin kabhi sawan
ek baadal hai in nigahon mein
tere kuche mein wo nahin aaya
barf si jam gai thi rahon mein
kashtiyan jal gai hain sab shayad
ek dhuan hai kisi ki aahon mein
kab tujhe bhul pai pal bhar ko
ye bhi shamil mere gunahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.