Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab mein wan jaun to jaun kis tarah

Mushafi Ghulam Hamdani

shab mein wan jaun to jaun kis tarah

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    shab meñ vaañ jā.ūñ to jā.ūñ kis tarah

    baḳht-e-ḳhufta ko jagā.ūñ kis tarah

    qissa-ḳhvāñ baiThe haiñ ghere us ke ta.iiñ

    dāstāñ apnī sunā.ūñ kis tarah

    go maiñ āshiq huuñ pa tāqat hai mirī

    haath paañv ko lagā.ūñ kis tarah

    rakh diyā hai sar pe ik koh-e-ḳhayāl

    sar ko zaanū se uThā.ūñ kis tarah

    naala girya madad kartā nahīñ

    ashk ke naale bahā.ūñ kis tarah

    chaah vo shai hai ki chhuptī nahīñ

    us ko yā-rab maiñ chhupā.ūñ kis tarah

    aa banī hai 'mus.hafī' jaan par

    yā-rab apnā bachā.ūñ kis tarah

    shab mein wan jaun to jaun kis tarah

    baKHt-e-KHufta ko jagaun kis tarah

    qissa-KHwan baiThe hain ghere us ke tain

    dastan apni sunaun kis tarah

    go main aashiq hun pa taqat hai meri

    hath panw ko lagaun kis tarah

    rakh diya hai sar pe ek koh-e-KHayal

    sar ko zanu se uThaun kis tarah

    nala girya ki madad karta nahin

    ashk ke nale bahaun kis tarah

    chah wo shai hai ki chhupti hi nahin

    us ko ya-rab main chhupaun kis tarah

    aa bani hai 'mushafi' ki jaan par

    ya-rab apna ji bachaun kis tarah

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 111)
    • Author : Ghulam hamdani Mashafi
    • Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now