shab thi be-KHwab ek aarzu der tak
shab thī be-ḳhvāb ik aarzū der tak
shahr-e-dil meñ phirī kū-ba-kū der tak
chāñdnī se tasavvur kā dar vā huā
tum se hotī rahī guftugū der tak
jaag uTThe the qurbat ke mausam tamām
phir sajī mahfil-e-rañg-o-bū der tak
daf.atan uTh ga.ī haiñ nigāheñ mirī
aaj baiThe raho rū-ba-rū der tak
tum ne kis kaifiyat meñ muḳhātab kiyā
kaif detā rahā lafz-e-'tū' der tak
dil ke saada ufuq par tumhī se rahe
rañg-e-qaus-o-quzah chār-sū der tak
rat-jage meñ rahā ḳhvāb kā vo samāñ
kaifiyat thī vahī hū-ba-hū der tak
shab thi be-KHwab ek aarzu der tak
shahr-e-dil mein phiri ku-ba-ku der tak
chandni se tasawwur ka dar wa hua
tum se hoti rahi guftugu der tak
jag uTThe the qurbat ke mausam tamam
phir saji mahfil-e-rang-o-bu der tak
dafatan uTh gai hain nigahen meri
aaj baiThe raho ru-ba-ru der tak
tum ne kis kaifiyat mein muKHatab kiya
kaif deta raha lafz-e-'tu' der tak
dil ke sada ufuq par tumhi se rahe
rang-e-qaus-o-quzah chaar-su der tak
rat-jage mein raha KHwab ka wo saman
kaifiyat thi wahi hu-ba-hu der tak
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 57)
- Author : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan
- Publication : Ambareen Haseeb Amber (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.