shab zara der se guzregi na ghabra ai dil
shab zarā der se guzregī na ghabrā ai dil
sub.h ḳhud hogī numūdār Thahar jā ai dil
kho ga.ī gesū-e-jānāñ ki ghanī chhāñv kahāñ
har taraf dhuup kā taptā huā sahrā ai dil
kūcha-e-yār meñ aa.e the kin ummīdoñ se
luT ga.ī aa ke yahāñ shauq kī duniyā ai dil
kaisī shorish sī bapā hai kabhī chal kar dekheñ
qatl-gāhoñ meñ hai ye kaisā tamāshā ai dil
mausam-e-gul hai ye kaisā ki chaman hairāñ hai
har kalī phuul kā dil jaise ki merā ai dil
dushman-e-jāñ haiñ sabhī saare ke saare qātil
tū bhī is bhiiḌ meñ kuchh der Thahar jā ai dil
shab zara der se guzregi na ghabra ai dil
subh KHud hogi numudar Thahar ja ai dil
kho gai gesu-e-jaanan ki ghani chhanw kahan
har taraf dhup ka tapta hua sahra ai dil
kucha-e-yar mein aae the kin ummidon se
luT gai aa ke yahan shauq ki duniya ai dil
kaisi shorish si bapa hai kabhi chal kar dekhen
qatl-gahon mein hai ye kaisa tamasha ai dil
mausam-e-gul hai ye kaisa ki chaman hairan hai
har kali phul ka dil jaise ki mera ai dil
dushman-e-jaan hain sabhi sare ke sare qatil
tu bhi is bhiD mein kuchh der Thahar ja ai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.