shabab aa gaya us par shabab se pahle
shabāb aa gayā us par shabāb se pahle
dikhā.ī dī mujhe ta.abīr ḳhvāb se pahle
jamāl-e-yār se raushan huī mirī duniyā
vo chamkī dil meñ kiran māhtāb se pahle
dil-o-nigāh pe kyuuñ chhā rahā hai ai saaqī
ye terī aañkh kā nashsha sharāb se pahle
na pesh nāma-e-a.amāl kar abhī ai 'josh'
hisāb kaisā ye roz-e-hisāb se pahle
shabab aa gaya us par shabab se pahle
dikhai di mujhe tabir KHwab se pahle
jamal-e-yar se raushan hui meri duniya
wo chamki dil mein kiran mahtab se pahle
dil-o-nigah pe kyun chha raha hai ai saqi
ye teri aankh ka nashsha sharab se pahle
na pesh nama-e-amal kar abhi ai 'josh'
hisab kaisa ye roz-e-hisab se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.