shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui
shabāb-e-hosh ki fil-jumla yādgār huī
jo 'umr sarf-e-tamāshā-e-husn-e-yār huī
hisāb-e-hasrat-e-jurm-e-nazāra dil se pūchh
nazar to ek jhalak kī gunāh-gār huī
bisāt-e-ijz meñ ik aah thī matā'-e-hayāt
so vo bhī sarf-e-sitam-hā-e-rozgār huī
ba-qadr-e-hasti-e-dil hai ḳhumār-e-ġham badnām
ḳhizāñ ḳharāb ba-andāza-e-bahār huī
nahīñ ki aah meñ tāsīr hī nahīñ lekin
ye dil-figār kabhī āsmāñ-figār huī
karam hai raaz umīd-e-karam kī hastī kā
umiid tere karam kī umīd-vār huī
balā se hijr meñ jiine kī intihā to hai
vo ek baar huī yā hazār baar huī
azal meñ ḳhalq huī thī jo bijliyoñ kī ruuh
tirī nigāh mirī jaan be-qarār huī
mire vujūd kī hujjat mire 'adam kī dalīl
vo ik nazar thī jo shāyad jigar ke paar huī
bahār nazr-e-taġhāful huī ḳhizāñ Thahrī
ḳhizāñ shahīd-e-tabassum huī bahār huī
umīd-e-marg pe 'fānī' nisār kyā kiije
vo zindagī ki huī bhī to musta'ār huī
shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui
jo 'umr sarf-e-tamasha-e-husn-e-yar hui
hisab-e-hasrat-e-jurm-e-nazara dil se puchh
nazar to ek jhalak ki gunah-gar hui
bisat-e-ijz mein ek aah thi mata'-e-hayat
so wo bhi sarf-e-sitam-ha-e-rozgar hui
ba-qadr-e-hasti-e-dil hai KHumar-e-gham badnam
KHizan KHarab ba-andaza-e-bahaar hui
nahin ki aah mein tasir hi nahin lekin
ye dil-figar kabhi aasman-figar hui
karam hai raaz umid-e-karam ki hasti ka
umid tere karam ki umid-war hui
bala se hijr mein jine ki intiha to hai
wo ek bar hui ya hazar bar hui
azal mein KHalq hui thi jo bijliyon ki ruh
teri nigah meri jaan be-qarar hui
mere wujud ki hujjat mere 'adam ki dalil
wo ek nazar thi jo shayad jigar ke par hui
bahaar nazr-e-taghaful hui KHizan Thahri
KHizan shahid-e-tabassum hui bahaar hui
umid-e-marg pe 'fani' nisar kya kije
wo zindagi ki hui bhi to musta'ar hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.