Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai

Ghulam Rabbani Taban

shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai

Ghulam Rabbani Taban

shabāb-e-husn hai barq-o-sharar manzil hai

ye āzmā.ish-e-qalb-o-nazar manzil hai

savād-e-shams-o-qamar bhī bashar manzil hai

abhī to parvarish-e-bāl-o-par manzil hai

ye mai-kada hai kalīsā o ḳhānqāh nahīñ

urūj-e-fikr o faroġh-e-nazar manzil hai

hameñ to raas aa.ī fuġhāñ be-asarī

magar batāo to koī asar manzil hai

vo rahbari-e-janāb-e-ḳhizar manzil thī

ye rahnumā.i-e-fikr-e-bashar manzil hai

ye raaz na sake sāhibān-e-hosh-o-ḳhirad

junūñ bhī ik nigah-e-parda-dar manzil hai

qayām shāmil-e-mashq-e-ḳhirām hai 'tābāñ'

safar tark bhī goyā safar manzil hai

shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai

ye aazmaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai

sawad-e-shams-o-qamar bhi bashar ki manzil hai

abhi to parwarish-e-baal-o-par ki manzil hai

ye mai-kada hai kalisa o KHanqah nahin

uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai

hamein to ras hi aai fughan ki be-asari

magar batao to koi asar ki manzil hai

wo rahbari-e-janab-e-KHizar ki manzil thi

ye rahnumai-e-fikr-e-bashar ki manzil hai

ye raaz pa na sake sahiban-e-hosh-o-KHirad

junun bhi ek nigah-e-parda-dar ki manzil hai

qayam shamil-e-mashq-e-KHiram hai 'taban'

safar ka tark bhi goya safar ki manzil hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now