shabab us ka tha ek itr-dan ki KHushbu
shabāb us kā thā ik itr-dān kī ḳhushbū
sameT laayā thā saare jahān kī ḳhushbū
baḌhī jo umr to hālāt ne bhī ruḳh moḌā
ab un se aane lagī daadā jaan kī ḳhushbū
jo ik khañDar hai hamārī galī ke nukkaḌ par
vahāñ se aatī hai ik ḳhāndān kī ḳhushbū
ye raaz maiñ na samajh paa.ī aaj tak bhābī
ki tum se aatī hai kyoñ bhaa.ī jaan kī ḳhushbū
lipaT ke so ga.ī kal raat un ke siine se
bhalī kuchh aisī lagī ammī jaan kī ḳhushbū
jidhar bhī jaatī huuñ chehre haiñ jhurriyoñ vaale
kahīñ se aatī nahīñ naujavān kī ḳhushbū
shabab us ka tha ek itr-dan ki KHushbu
sameT laya tha sare jahan ki KHushbu
baDhi jo umr to haalat ne bhi ruKH moDa
ab un se aane lagi dada jaan ki KHushbu
jo ek khanDar hai hamari gali ke nukkaD par
wahan se aati hai ek KHandan ki KHushbu
ye raaz main na samajh pai aaj tak bhabi
ki tum se aati hai kyon bhai jaan ki KHushbu
lipaT ke so gai kal raat un ke sine se
bhali kuchh aisi lagi ammi jaan ki KHushbu
jidhar bhi jati hun chehre hain jhurriyon wale
kahin se aati nahin naujawan ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.