shabnam-alud palak yaad aai
shabnam-ālūd palak yaad aa.ī
gul-e-āriz kī jhalak yaad aa.ī
phir sulagne lage yādoñ ke khañDar
phir koī tāk-e-ḳhunak yaad aa.ī
kabhī zulfoñ kī ghaTā ne gherā
kabhī āñkhoñ kī chamak yaad aa.ī
phir kisī dhyān ne Dere Daale
koī āvāra mahak yaad aa.ī
phir koī naġhma gulū-gīr huā
koī be-nām kasak yaad aa.ī
zarre phir mā.il-e-ram haiñ 'nāsir'
phir unheñ sair-e-falak yaad aa.ī
shabnam-alud palak yaad aai
gul-e-ariz ki jhalak yaad aai
phir sulagne lage yaadon ke khanDar
phir koi tak-e-KHunak yaad aai
kabhi zulfon ki ghaTa ne ghera
kabhi aankhon ki chamak yaad aai
phir kisi dhyan ne Dere Dale
koi aawara mahak yaad aai
phir koi naghma gulu-gir hua
koi be-nam kasak yaad aai
zarre phir mail-e-ram hain 'nasir'
phir unhen sair-e-falak yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.